Zawal ke Waqt Darood Sharif Quran Sharif Padh Sakte Hai,?
🌹🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🌹
*_Ya Rasoolallah صلى الله عليه وسلم_*
_****************************************_
*_Suwal.Nr,149👇🏻_*
*_👉🏻♦Mera Suwal hai :1⃣Zawal ka waqt kb hota hai,_*
*_2"Zawal ke Waqt Darood Sharif Quran Sharif Padh Sakte Hai,_*
*_3! Kya Raat me Bhi Zawwal ka Waqt hota hai_*
_****************************************_
*_Saila.Ruhi Fatima_*
_****************************************_
*_Aljawab_*
*_✒1⃣💝Zawal Ka Waqt,Makrooh Awqaat Ye ki ,Tulu ,Guroob , Nisful nihaar, Es teeno Waqto me Namaz Jaiz nhi hai,_*
*_Tulu Se Muraad Aftaab ka kinara Zahir hone es Waqt tak hai ki es par Nigah Khairah hone lge, Jiski miqdar kinara chamkne se 20 mint tak hai,Aur Jis waqt Aftaab par nigahen Thehrene lge , Doobne tak Guroob hai,Ye Waqt 20 mint hai,Nisful nihar Yani Dopahar ka Waqt.,Aftaat Dhalne tak hai , jisko Sahu kubra kehte hai,Yani tulu Fajer se Guroob Aftaab tak Aaj jo Wqat hai, Eske brabar do Hisse kar len, Pahle hissa ke khatm par ibtadaye Nisful nihaar sharai hai, Aur Es waqt se Aftab Dhalne tak waqt Es Waqt Mumana,at H, namaz ke liye,_*
*_📘Durre mukhtar/ Raddul Mukhtar. Jild. 2/ Safha. Nr.38_*
*_📕Fatawa Razviya. Kitabul Salat.Jild.5/ Safha.112_*
_****************************************_
*_♦2⃣En Waqto me Qur'an paak ki tilaawat Karna Behter nhi, Behter hai ki zikre Darood Shareef me Mashgool rahe,_*
*_📕Durre mukhtar.jild.2/ Safha. Nr. 44_*
_****************************************_
*_💝3⃣Asal main Hum ne Shuru hi say yeh Baat Zehen main bana liye hai ke Isha k Waqt main bhi Zawal ka Waqt hai jo ki Galat hai kyu ki Zawal us waqt hota hai jab Suraj ho, Zawal Suraj honay par hi hota hai isliye Raat ko zawal nahi hota hai, Isha k Namaz Padh sakte hain, koi Qaza nahi hoti hai Aur Isha ka Waqt Tallu-e-Fajr tak rehta hai, Jaisay Sehri ka Waqt hai usi tarah us Waqt tak Isha ka Waqt rehta hai,._*
*_📘Fatawa Hindiya. Jild. 5/ Sefha nr.153_*
*_Note. AbApni Zuban Me Byan kr dete hai Ki khas kar Auraton ke liye Suraj tulo hone ke 20 mint tak koi namaz nhi hai. Aur Zohar me Jab Azan Hoti hai Masjid me Tb se Namaz ka waqt Shuro ho jata hai behter hai Aurato ke liye ki Mardon ke jamat ke bad namaz padhe ,Fajer ki namaz Azan ke bad Turant Padhen Eise hi Magrib ki baqi me Bad jamat mardon ki behter hai .Ab Gruop Aftaab Yani Magrib ki Azan Hone Se 20 mint pahle Makrooh waqt hai yani zawal ka_*
🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁
_****************************************_
*_Hawala📚_*👇🏻
*_📗Bahare Sharat.jild/1 .Sefha Nr.450/451_*
_****************************************_
🌍Sayydah Fatima Network
www.sunniladiesgruop.blogspot.com
_****************************************_
*_Islamic Ladies Gruop_*
_****************************************_
*_✒♦Muarattiba: Naaz Fatma_*
🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁
Comments
Post a Comment